WHAT IS THE RIGHT WAY OF INVESTING – PART 2 (STORY OF RABBIT & TORTOISE)

WHAT IS THE RIGHT WAY OF INVESTING – PART 2 (STORY OF RABBIT & TORTOISE)

Doston bahut bahut dhanyavad – hamare pichle saftah ke episode ko aapne jo pasand kiya !! Isi kahani ka agla aur agri episode pesh kartin hai !!

Pichale hafte humne dekha ki Kachawe (SIP) kabhi jitta hai to kabhi Khargosh…Kya isi kahani mein koi aur mod hai ? Hain…Dekhte hai, tisri kahani kya kaheti…

Is baar Kachwe ne apni taqat ke anusar ; goal post  ek nadi ke us paar rakha aur wapas Khargosh ko race ki Chunauti di !! Khargosh pichli tarach bina ruke , kafi mustaidi se bhag kar, nadi kinare pahuncha, magar nadi cross nahin kar saka…Dheere dheeri chalet hua, Kachua nadi tak pahunch kar, tair kar , nadi paar ja kar race jeet gaya !!

Isse hain yeh samaz aata hai , ki SIP unche neeche rasto ko rondhkar bhi aapko apne goals tak  aasaani se pahuchane ki samata rakta hai !! jis tarah se Kachawe ne anpi strength ko dhyan mein rakhte hua, rasta chuna, usi tarah agar aap Job karte ho ya consistent incomes ho, to aapko SIP karni chahiye…

magar kya aapka cashflow cyclical hai, especially business incomes ho – jo predicatble na ho , to kya phir bhi apne nivesh ko utni hi khubsurti se bada sakte hai ? Chalo sunte hai is kahani ka chautha aur akhri bhag…

Is baar dono Kachua aur Khargosh milte hai aur sochte hai – kya hum dono ek saath mil jayein,to  race jeetne ka koi hur behtarin rasta nikal sakta hai ? Kya hum dono mil kar , ek duje ki kadhinaiyaan kum kar sakte hai ?

Is baar woh usi raste par, ek modern soonch le kar – dono apni apni Strenghts ka istamal karke, race suru karte hai..

Lambe rastein mein, Kachua kargosh ki peeth par baithkar , both milkar raasta teji se par kar lete hai and nadi ko paar karte waqt, Kachua Khargosh ko apni peeth par baithakar, nadi par kar leta hai and do ek saath apne goal post par pahunch kar – ek dusare ki jeet par badhaienya dete hain !!

So this week’s Fisdom is :
So Doston – hum in kahaniyon se yeh sikhten hai ki – in the modern world asset allocation or friendship of two ways be it SIP or Lumpsum , Debt or Equity or any other asset class is the Key to Success in your investment journey…The legendary Investor Warren Buffet has quoted that 94% of portfolio growth can be attributed to asset allocation…You have to strategize according to your goals, optimize your strengths and take advice from a professional advisor to overcome your weakness…It is not how market behaves, but how you behave in the market is important.

Share this post?

admin