WHAT IS THE RIGHT WAY OF INVESTING? STORY OF RABBIT & TORTOISE

WHAT IS THE RIGHT WAY OF INVESTING? STORY OF RABBIT & TORTOISE

Currently, as the markets are touching record high’s we at Arthashastra are getting frequent queries from investors – How should I invest – Lumpsum amount or gradually thru SIPs?

It is really a challenging question to answer this, especially in the current times, where market valuations look on a higher side…Still let try and understand the same thru a very commonly heard story of Tortoise and Rabbit…I will attempt to say it in Hindi…

Jaise ki hum sab jante hai, Kachue aur Khargosh ki race mein…Kachua jeet jaata hai, kyon ki woh SIP ki tarah, consistently chalta rahta hai….aur Kargosh haar jaata hai…Kyonki jyada speed mein bhagkar, thakan ke karan use aaram ki jarurat lagti hai and thoda overconfidence bhi aa jaata hai,,,Ke I can never loose…

Usi Tarah, khargosh ke jaise, jab hum lumpsum investment karte hai to financial thakan jaldi lag jaati hai aur neeche star par loss kafi jyaada dikh sakta hai…usi tarah agar market badh jyata hai to galat reet se, overconfidence ho jaata hai aur , aage chalkar pahele se bhi badi galati ho sakti hai…!!

Kya aapko pata hai, is kahani ke chaar bhag hai?

Aaj hum log dusare bhag ko bhi sunenge and agle saptah baki 2 bhago ki charcha karenge..

Kahani ko aage badaate hai – Is baar Kargosh anpi galati ko sudharta hai and consistently bhagne se, is baar race woh jeet jaata hai…

Iska kha aarth to yeh hai – ke Hindustan ek developing economy hai and aur agar hum apne poonji ko lambe samay tak invest karte hai to Lumpsum investment ki bhi achi tarah badhat hoti hai..!!

 

This Week’s Fisdom :

In dono kahani ka Fisdom yeh hai ki investment ke safar mein ya to aap, Kargosh ki tarah lumpsum investment karke lambe samay tak use badne ka mauka de…finishing line ki tarah apne goal achive karne ke baad hi us investment ka upyog karein….ya

Agar aapko volatility ya market ke utar chadaw sambhalne na ho, to safely  Kachawe ki tarah…aap har mahine thoda thoda investment karke , finishing line/apne goals tak pahunche…

Doston, Kya yehi sahi reet hai investing ki ya koi aur behetarin raste bhi hai ? Ise janne ke liye – aap agle Friday Fisdom ko jaroor Dehein…

Share this post?

admin